Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Muhammad Muzaffar Ali Khan Arif

Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Muhammad muzaffar Ali Khan Arif  Rahmatullah Alayh Bharat ke mashur shehar Hushiyar pur mein pida hoye. Aap Rahmatullah Alayh  ne ibtidayi taleem apne waalid Hazrat Muhammad Murad Ali Khan se haasil ki. Is ke bad aap ke waalid ne aapko School  daakhil karwa dya. Taqseeme Hind se bohat pehlay aap apne waldain ke hamrah Pakistan mein muntaqil ho gaye .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Pakistan muntaqil honay ke bad aap ne apni taleem mukammal ki is ke baad Tibbya College Lahore mein dakhla le lia jahan par aap ne Hikmat ki taleem haasil ki. Is ke bad aap ne Homeopathic  ka course bhi mukammal aur phir wapas jaa kar practice shuru kar di .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Hazrat Muhammad Muzafar Khan Rahmatullah Alayh ko do tareekon se baatini nisbat haasil thi, aik nisbat un ko apnay waalid Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh se, aur doosri apne nana Peer Baksh Rahmatullah Alayh se thi .

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh apne aakhri waqat mein aap Rahmatullah Alayh ko apnay seenay par lata lia aur apni zabaan mubarak aap ke munh  mein rakh di jis se asp Rahmatullah Alayh ka sara batin roshan ho  aur sare asarar o ramooz aap par khul gay aur aap Hazrat Muhammad Murad Ali Rahmatullah Alayh  ke khalifa Azam mqarr hui .

Hazrat Muhammad Muzafar Khan Rahmatullah Alayh  ke nana jaan  Hazrat Peer Baksh Rahmatullah Alayh  aik buzurag thay. Insanon ke sath sath bohat se jaanat bhi aap ke mureed thay. Hazrat  Peer Baksh Rahmatullah Alayh Hindustan ke sher Hoshiar pur se jab aakhri martaba Pakistan aaye unhon ne apna sara ilm  Hazrat Muhammad Muzafar Khan Rahmatullah Alayh  ko muntaqil  kar dya aur is ki ijazat bhi de di .

Asp Rahmatullah Alayh farmatay hain kay hamein achi terhan yaad rakhna chahiay kay hamari aapas ki khincha tani achay nateejay peda nahi kar sakti aur yeh koi achi baat nahi hai siwaye is ke kay dushman shetaan hum par hanse aur khud maza uthaye. Ittafaq mein jo barket hai woh nifaaq mein izzat bakhash nahi ho sakti .

Aap se be shumaar karamtian  zauoor pazeer huien lekin khauf  tawalat yahan sirf  do ka zikar kia jata hai.

Asp Rahmatullah Alayh ki aik mureedi marhuma Khadija bibi farmaati thi kay aik dafaa is ki beti be mah apne bachon ke apne waldain ke ghar yani  mere ghar chak number 199  mein aayi hui thi. Is waqat is ki beti ke teen bachay thay. Is ki sab se choote bachi bemaar thi. Kehte thay kay usay kisi cheez  ka saaya hai. Is ki choote  beti is saaye se janber na ho saki aur us ka idhar ayte hi intqaal ho gaya. Abhi ghar wale us ko dafna kar wapas aaye hi thay kay unhon ne dekha kay is bachi  ke bhai ke haath paon  mur rehay hain aur munh se jhaag bhi nikal rahi hai. Is cheez ko dekh kar Khadija Bibi sakht pareshan hui aur is ne usay apne   peer o murshad Hazrat Muhammad Muzafar Khan Rahmatullah Alayh ke paas le jane ka faislah kar lia .

Chunancha Khadija Bibi marhooma apne shohar ke hamrah bachay ko le kar Sadiqabad ke liye rawana hui. Gaon se bus stand  dearh  meel ke faaslay par tha. Jab bas ke adday par pohanchay tu unhon ne dekha ke bacha gum sum hai. Adday ke paas hi fuji chaoni bhi waqay hai. Wahan se chand fuji  aaye unhon bachay ko charpai par lataa dia aur check  karne ke baad unhon ne bataya ke aap ka bacha ab is dnya mein nahi hai is ke baad unhon ne bachay ki ankhen band kar deen jo us waqat khuli hui theen. Aur kaha kay aap usay wapas  lay jayen. Lekin marhomha  ne apne shohar se kaha kay woh usay peer o murshad ke paas le ke jaye gi. Chunancha woh yeh faisla karne kay baad Sadiqabad jane  wali bas mein sawaar hu gay .

Udhar Hazrat Muhammad Muzafar Khan Rahmatullah Alayh apne aik mureed se milnay apni behan ke hamrah jo kay aap ki mureedni bhi thi, chak number 173  tashreef  le gay. Abhi ghar ke indar  hi dakhil hue thay kay ahal e khanah se farmaya  mujhe abhi wapas jana hai kyunkay koi mujhe pukaar raha hai. Ahal e khanah ne kaha ke abhi  to aap aaye hain thori dair to tehar jayen. Lekin asp Rahmatullah Alayh ne kaha kay mujhe abhi jana hai.Agar kisi paas koi tansport ho to mujhe foran Sadiqabad pohanchaya jaye. Chunancha aik sahib ke paas motorcycle thi. Aap ne isi par jane ka faisla kar liya. Asp Rahmatullah Alayh  ne apni behan se kaha kay woh ba zarea bas wapas Sadiq abad aa jay. Aur aap Rahmatullah Alayh motorcycle par Sadiq abad ke liye rawana ho gay .

Jab asp Rahmatullah Alayh ki behan Sadiq abad  wapas anay ke liye bas adday par punchi aur bus mein sarwar huian  to yeh wohi bus thi jis mein Khadija Bibi apne shohar aur bachay ke hamrah safar kar rahi thi. Aap ki behan ne Khadija marhooma se  poocha ke seat par kapray mein kis ko lepata hua hai tu marhooma ne kapra utha kar sara waqea asp ki behan ko batadiya. Tab aap ki behan ne kaha kay shayd  isi liye hi Hazrat  Muzafar Ali Khan Arif Rahmatullah Alayh  wapas chalay gay hain .

Yeh tenon bamah bachay ke ikathay Sadiqabad  Muhammad Muzaffar Ali Khan Arif Rahmatullah Alayh  ki khidmat mein hazir huia . Marhooma Khadija Bibi ko dekhte hi aap Rahmatullah Alayh  ne farmaya  tu ye tum  thi  jo mujahe pukaar rahi thi .

Marhooma Khadija Bibi ne arz ki kay meri beti mujh se milnay ke liye aayi hai pehlay is ki beti chali gayi aur ab beta.Aap Allah Taala se hamaray liye karam ki bheek mangeen. Aap Rahmatullah Alayh  ne kaha kay is bachay ko is charpayee  par lataa do. Bachay ko charpayee par latane ke baad aap ghar ki chhat par chale gay aur kaha mujhe koi nah bulaye chahay is kaam ko aik din lagey ya chaar din lekin agar bacha mujhe aawaz day to phir bulana. Yeh keh kar asp Rahmatullah Alayh  muraqbe mein chalay gay aur baqi ghar wale neechay bachay ke paas aa gay .

Taqreeban baara ghantay ke baad  uth kar baith gai aur khne laga ke  bijli walay peer sahib kahan hain. Is waqat bachay ne nah apne waldain aur nah kisi aur ko puraka. Bachay ki Umar is waqt saat saal thi aur woh Hazrat Muzafar Ali Khan Rahmatullah Alayh  ko bijli wale peer kaha karta tha . Bachay ki  awaaz sunte hi sab chhat ki taraf doray aur iss ki ittila asp Rahmatullah Alayh ko di. Aap ne foran haath utha  kar AllahTaala se dua ki . Jis ke bad aap Rahmatullah Alayh  neechay tashreef  le aaye Khadija Bibi se kaha kay is bachay ke hamrah  mazeed aik din hamaray paas raho is  ke baad usay le jana. Aik din ke baad woh bacha bilkul tandrust ho gai aur us ke ghar walay usay le gay.Mamasha Allah ab woh bacha jawan hai aur is ke biwi bachay hain .

Jaisa kay uopar bayan kya ja chuka hai kay asp Rahmatullah Alayh  ko apne nana ki taraf se taskheer e jaanat ka ilm bhi ataa howa tha is se mutaliq aik waqea paish khidmat hai.

 Aik aurat ke uopar jaanat ka saya tha aur is ko aksar doray parte thay. Ghar walay is ke un doroon se sakht pareshan thay. Medical aur Rohani dono terhan ke ilaaj karwa kar dekh liye thay. Lekin koi afaqa nah howa balkay din badan is ki shiddat mein izafah hota raha .

Kaafi Peeron o Faqeroon  ( yahan kaafi Peeron o Faqeroon se murad jhutay peer faqeer hain ) ko aazmaane ke baad woh log aap Rahmatullah Alayh  ki khidmat meinhazir huay. Asp Rahmatullah Alayh  ne thori si sabz  Lechian parh kar inhain den aur kaha kay yeh lechian  aurat  ke sarahnay rakh den aur is se kahin kay rozana aik alaichi kha la. Ikees din taq yeh amal kare lekin is douran aurat kamray se  bahir na niklay .

Aik ya do lechi khanay ke baad woh aurat apne kamray se bahir nikal  gayi aur ghar walon ko pata nah chala. Jab ghar walon  ko pata chala to woh is aurat ko lay kar dobara  kamray mein puhanche  to kya dekhte hain kay wahan lechian majood nahin hain un ki jagah aik ruqaa aur pesey parre hue hain. Ruqaa ke uper lekha hwa tha  ke hum lechian le kar ja rehe hain aur ye un lechiaoon ki qeemat hai. Ghar walon ne yeh sara waqea  aap Rahmatullah Alayh ki khidmat mein gosh guzar kia. Asp Rahmatullah Alayh  ne fori kashaf se jaanat ko hazir kia aur danta ke tum yeh lechian kiyon le kar gaye ho. To jaanat ne jawab diya ae Hazrat hum yehlechian shrartan le gay thay kyunkay woh aurat kamray se bahir chle gayi thi. Is par Hazrat Muhammad Muzafar Khan Rahmatullah Alayh  ne hukum diya kay wapas jao aur wahan wapas lechian  rakh aao. Jis par jaanat ne arz ki kay Hazrat kyunkay woh aurat ab kamray mein wapas chali gayi hai is liye hum kamray mein daakhil nahi ho saktay. Jis ke baad asp Rahmatullah Alayh  ne inhen hukum diya kay ghar ki  dewaar par wo lechian rakh aao .

Jab is aurat ke ghar wale  wapas ghar ponche  to unhon ne dekha kay wohi lechian un ke ghar ki deewar kay  uper  pari hui theen. Unhon ne woh lechian  utthayen aur hasb e hukum is aurat ke sarahnay ke neechay rakh den. Thoray hi dinon baad woh aurat sahet yab ho gayi aur aap  Rahmatullah Alayh  ki karamat ki wajah se usay un doroon ki bhayanak bemari se chhutkara mil gaya .

Umerke aakhri hissay mein aap Rahmatullah Alayh  par falaj ka hamalh huwa jis se asp Rahmatullah Alayh  ki qowat e goyaye mutasir hui. Aap ne taqreeban teen saal isi haalat mein guzare asp Rahmatullah Alayh par taez  bukhar ka hamlah hwa jis ke  baad asp Rahmatullah Alayh ko Hospital  daakhil karwa dya gai. Hospital mein do din rehne ke baad teesre  din ki subuh 10 September bamutabiq 4 Rabi al Sani 1415 Hijri baroz hafta  aap Rahmatullah Alayh  is dar e fani se rukhsat ho gaye. . Anallh vanaalih rajiun. Allah Taala aap ko pannay jawar rehmat mein jagah day aur asp Rahmatullah Alayh  ke darjaat buland farmaiye ameeen sm ameeen .

Aap ko Sadiqabad zila Raheem Yaar Khan Pakistan mein aap ke walid Hazrat  Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh  ke pehlu mein supurd e khaak kar diya gaya .